Zer-e-baam Gumbad-e-KHazra Azan
zer-e-baam gumbad-e-KHazra azan
wo bilali saut wo samea kahan
khojta hai an-ginat masjud mein
qul-ho-allaho-ahad ka saeban
but-tarashi chaar-su hai jalwa-gar
de gai sab ki jabinon ko nishan
yasiyat ne karb ke dar wa kiye
KHushk ummidon ka gulshan hai yahan
to rahin-e-KHana-ha-e-iztirab
uTh raha hai tere chilman se dhuan
zulmaten saya-fagan hain har taraf
baam-o-dar par raqs mein nau-midiyan
ruk zara paDh kalma-e-la-taqnatu
KHud-baKHud rauzan khulenge darmiyan
hauslon ke phir se ug aaenge par
azm-e-mohkam ko bana le saeban
(1660) Peoples Rate This