Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b1a2adce2aae94ca6fda35c73b740cad, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Waqt Ke Pas Kahan Sare Hawale Honge - Zulfiqar Naqvi Poetry In English - Darsaal

Waqt Ke Pas Kahan Sare Hawale Honge

waqt ke pas kahan sare hawale honge

zeb-e-qirtas faqat yas ke haale honge

khojta kya hai andheron mein tafahum ke diye

aa charaghon mein lahu Dal ujale honge

dasht mein ja ke zara dekh to aae koi

zarre zarre ne mere ashk sambhaale honge

yun to maqdur nahin tujh ko teri qismat par

han magar tu ne kai sikke uchhaale honge

hum the KHushbu ke KHaridar magar kya malum

surKH phulon ne yahan sanp bhi pale honge

(1494) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ke Pas Kahan Sare Hawale Honge In English By Famous Poet Zulfiqar Naqvi. Waqt Ke Pas Kahan Sare Hawale Honge is written by Zulfiqar Naqvi. Read famous Poem Waqt Ke Pas Kahan Sare Hawale Honge for youth and Student by Zulfiqar Naqvi. Free Download Waqt Ke Pas Kahan Sare Hawale Honge in PDF.