Shuur-o-fikr Se Aage Nikal Bhi Sakta Hai
shuur-o-fikr se aage nikal bhi sakta hai
mera junun hawaon pe chal bhi sakta hai
mere guman pe uThao na ungliyan sahab
guman yaqin mein yaqinan badal bhi sakta hai
pahaD apni qadamat pe yun na itraen
ubhar gaya koi zarra nigal bhi sakta hai
mere labon pe jami barf soch kar chhuna
tumhaare jism ka aahan pighal bhi sakta hai
koi asa bhi nahin aur hai akela tu
amir-e-shahr ka azhdar nigal bhi sakta hai
hamare sath jo chalna hai zad-e-rah le lo
kaThin se moD hain panw phisal bhi sakta hai
karo na zid ki kisi shahr ki taraf jaun
mere aziz ye dil hai machal bhi sakta hai
kar apne sae se raaz-o-niyaz ki baaten
bahut udas hai lekin bahal bhi sakta hai
bas ek nazar jo karam ki wo us taraf phere
qadam bahak jo gaya hai sambhal bhi sakta hai
(1243) Peoples Rate This