Rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman
rahraw-e-rah-e-KHarabaat-e-chaman
aa ki phir ek bar ho ja kohkan
tesha-e-azm-e-jawan daman mein rakh
tu sawar-e-shauq-e-sultani mein fan
koi saya zindagi ka gar mile
chaak-e-gul ho kar pahan lena kafan
didani hai us ke hathon mein inan
shahr mein banTe hai jo maghrib ka dhan
aa uTha phir saghar-o-mina chalen
phir se ho jae wo pahle sa suKHan
jis mein thi tah-dari-e-mansuriyat
wo anal-haq ka kahan hai bankpan
(1185) Peoples Rate This