Purane Rang Mein Ashk-e-gham Taza Milata Hun
purane rang mein ashk-e-gham taza milata hun
dar-o-diwar par kuchh aks-e-na-dida sajata hun
mujhe sahra-nawardi ras aati ja rahi hai ab
KHarabaat-e-chaman mein lala-o-sausan ugata hun
mere is shauq se dariya kinare sab shanasa hain
jahan tufan ho maujon ka wahan langar uThata hun
tumhaari naghma-sanji ki dukan par jo nahin milta
wahi ek naghma-e-pur-soz main sab ko sunata hun
na jaane kis nagar aabaad ho jati hain wo ja kar
main aksar sham ko chhat se patangen jo uData hun
paDe hain aable lekin qadam phir bhi hain barjasta
main kab se lash apni apne kandhon par uThata hun
(1398) Peoples Rate This