Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_da820027bdd8daa01d3d27ec808d371f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHamosh Zamzame Hain Mera Harf-e-zar Chup - Zulfiqar Naqvi Poetry In English - Darsaal

KHamosh Zamzame Hain Mera Harf-e-zar Chup

KHamosh zamzame hain mera harf-e-zar chup

har iKHtiyar chup hai har ek eatibar chup

baad-e-sumum darpai aazar dekh kar

sakte mein be-qarar hai baad-e-bahaar chup

manzar nahin hain bolte sahra udas hai

pathra gai hai aankh dil-e-daghdar chup

jo kuchh bhi ho raha hai ye maqsum to nahin

bas tujh ko kha gai hai teri sogwar chup

har ek ko hun gosh-bar-awaz dekhta

oDhe hue hon jab se main ek ba-waqar chup

harf-e-dua na dast-e-talab dar pe aan kar

lab par faqat hai raqs mein ek dil-figar chup

(1372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamosh Zamzame Hain Mera Harf-e-zar Chup In English By Famous Poet Zulfiqar Naqvi. KHamosh Zamzame Hain Mera Harf-e-zar Chup is written by Zulfiqar Naqvi. Read famous Poem KHamosh Zamzame Hain Mera Harf-e-zar Chup for youth and Student by Zulfiqar Naqvi. Free Download KHamosh Zamzame Hain Mera Harf-e-zar Chup in PDF.