Gum-karda-rah KHak-basar Hun Zara Thahar
gum-karda-rah KHak-basar hun zara Thahar
ai tez-rau ghubar-e-safar hun zara Thahar
raqs-e-numud yak do nafas aur bhi sahi
dosh-e-hawa pe misl-e-sharar hun zara Thahar
apna KHiram tez na kar ai nasim-e-zist
bujhne ko hun charagh-e-sahar hun zara Thahar
wo din qarib hai ki mein aankhon ko mund lun
yani halak-e-zauq-e-nazar hun zara Thahar
ai dost meri talKH-nawai pe tu na ja
shirin misal-e-KHwab-e-sahar hun zara Thahar
jis rah se uTha hun wahin baiTh jaunga
main karwan ki gard-e-safar hun zara Thahar
ai shahsawar-e-husn mujhe raund kar na ja
wamanda misl-e-rahguzar hun zara Thahar
ai aaftab-e-husn meri kya bisat hai
daryuza-gar hun nur-e-qamar hun zara Thahar
mauhum si umid hun mujh se gurez kya
apni kisi dua ka asar hun zara Thahar
(1415) Peoples Rate This