Basai Maine Jo Qalb-e-hazin Mein
basai main ne jo qalb-e-hazin mein
wo duniya kaam aai kar-e-din mein
wahi hai asal mein jaan-e-tamanna
jo hasrat hai nigah-e-wapsin mein
tere shauq-e-sarapa ki kashish hai
simaT aaya hun main apni jabin mein
hai pech-o-tab mein har mauj-e-sahil
wo betabi hai mauj-e-tah-nashin mein
haqiqat hai ki ho tum jaan-e-KHubi
ki KHubi hai watan ki sar-zamin mein
mohabbat hai ki wo aks-e-masarrat
utar aaya mere qalb-e-hazin mein
junun ke raj mein insaf hoga
na hoga farq jeb o aastin mein
bahut kuchh paoge duniya mein pyare
mohabbat paoge lekin hamin mein
'buKHari' ki taDap 'hafiz' ki masti
tumhaare naghma-e-wajd-afrin mein
(1368) Peoples Rate This