Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4a490abade3b0d48bba1f704d433f2c2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aata Hai Nazar Anjam Ki Saqi Raat Guzarne Wali Hai - Zulfiqar Ali Bukhari Poetry In English - Darsaal

Aata Hai Nazar Anjam Ki Saqi Raat Guzarne Wali Hai

aata hai nazar anjam ki saqi raat guzarne wali hai

baqi hai KHuda ka nam ki saqi raat guzarne wali hai

KHurshid ko jam se sharmaenge sham ko tera wada tha

ifa-e-ahd-e-sham ki saqi raat guzarne wali hai

hum kitni pine wale hain tum kitni pilane wale ho

ye raaz hai tasht-az-baam ki saqi raat guzarne wali hai

ai rindo hath pe hath dhare kya saqi ka munh takte ho

mahfil mein mache kohram ki saqi raat guzarne wali hai

ye rah par aa hi jaega tu zahid se mayus na ho

uTh le ke KHuda ka nam ki saqi raat guzarne wali hai

ye barham hone wali mahfil yun bhi barham ho jati

hum kah ke hue badnam ki saqi raat guzarne wali hai

ab koi nahin sannaTa hai taron ki aankhen jhapki hain

chal sath mere do-gam ki saqi raat guzarne wali hai

(1724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aata Hai Nazar Anjam Ki Saqi Raat Guzarne Wali Hai In English By Famous Poet Zulfiqar Ali Bukhari. Aata Hai Nazar Anjam Ki Saqi Raat Guzarne Wali Hai is written by Zulfiqar Ali Bukhari. Read famous Poem Aata Hai Nazar Anjam Ki Saqi Raat Guzarne Wali Hai for youth and Student by Zulfiqar Ali Bukhari. Free Download Aata Hai Nazar Anjam Ki Saqi Raat Guzarne Wali Hai in PDF.