Ye Shor-o-shar To Pahle Din Se Aadam-zad Mein Hai
ye shor-o-shar to pahle din se aadam-zad mein hai
KHarabi kuchh na kuchh to is ki KHak o baad mein hai
pahunch kar us jagah ek chup si lag jati hai mujh ko
maqam ek is tarah ka bhi meri rudad mein hai
ajab ek be-kali si mere jism-o-jaan mein hai
sifat simab ki mujh paikar-e-azdad mein hai
ye shisha-ghar abhi tak arsa-e-takmil mein hai
ye KHwab-e-KHubsurat moariz-e-ijad mein hai
main jitna uTh raha hun aur jhukta ja raha hun
kaji dar-asl awwal se meri buniyaad mein hai
zamana yun nahin jaise dikhai de raha hai
KHarabi koi mah-o-sal ki tadad mein hai
tariq-e-ishq mein koi KHarabi aa gai hai
koi bad-surati is tarz-e-nau-ijad mein hai
ye naqsh-e-KHushnuma dar-asl naqsh-e-ajizi hai
ki asl-e-husn to andesha-e-bahzad mein hai
yahan jo aa gaya ek bar phir jata nahin hai
kashish aisi kuchh is shahr-e-sitam-ijad mein hai
wo jo kahte rahe us ki gawahi mil rahi hai
ye sari guftugu un raftagan ki yaad mein hai
ye jitna hai kahin us se ziyaada bhed mein hai
tilism is dahr ka poshida haft-ibaad mein hai
(1290) Peoples Rate This