Katata Hun Raat-bhar Apne Lahu Ki Dhaar Ko
katata hun raat-bhar apne lahu ki dhaar ko
khinchta hun is tarah inkar se iqrar ko
be-qarari kuchh to ho wajh-e-tasalli ke liye
bhinch kar rakhta hun sine se firaq-e-yar ko
apni gustaKHi pe nadim hun magar kya KHub hai
dhup ki diwar par likhna shabih-e-yar ko
aise kaTta hai jigar aise lahu hota hai dil
kaise kaise aazmata hun nafas ki dhaar ko
nachta hai mere nabzon mein KHarosh-e-KHun ke sath
dhaDkanen ginti hain us ke panw ki raftar ko
reza reza chun raha hun jism-o-jaan ki saaten
Dha raha hai koi meri umr ki diwar ko
ek saat ki judai bhi nahin mujh ko qubul
sath rakhta hun sada yaad-e-firaq-e-yar ko
(1324) Peoples Rate This