In Labon Se Ab Hamare Lafz RuKHsat Chahte Hain
in labon se ab hamare lafz ruKHsat chahte hain
jagti aankhon mein KHwabon ki salamat chahte hain
naqsh ki surat likhi aawaz ko de do rihai
be-takallum lafz bhi ab to ibarat chahte hain
aisi yaKH-basta KHamoshi mein na phir zinda bachenge
mere ThiThure honT lafzon ki hararat chahte hain
mere hathon par likhi tahrir mujh se kah rahi thi
aane wale waqt lafzon ki shahadat chahte hain
ye dar-o-diwar par be-nam se chup-chap sae
phulon raston aur bachchon ki hifazat chahte hain
hijr ke mausam mein yaad aati hai KHushbu doston ki
hum udasi mein bhi yaron ki rifaqat chahte hain
(1836) Peoples Rate This