Ye Mez Ye Kitab Ye Diwar Aur Main
ye mez ye kitab ye diwar aur main
khiDki mein zard phulon ka ambar aur main
har sham is KHayal se hota hai ji udas
panchhi to ja rahe hain ufuq par aur main
ek umr apni apni jagah par khaDe rahe
ek dusre ke KHauf se diwar aur main
sarkar har daraKHt se bante nahin hain taKHt
qurban aap par mere auzar aur main
le kar to aa gaya hun mere pas jo bhi tha
ab sochta hun tera KHaridar aur main
KHushbu hai ek fazaon mein phaili hui jise
pahchante hain sirf sag-e-yar aur main
khoe huon ko DhunDne nikla tha aaftab
duniya to mil gai sar-e-bazar aur main
(1681) Peoples Rate This