Wo BuDha Ek KHwab Hai Aur Ek KHwab Mein Aata Rahta Hai
wo buDha ek KHwab hai aur ek KHwab mein aata rahta hai
is ke sar par an-dekha panchhi manDlata rahta hai
naTak ke kirdaron mein kuchh sachche hain kuchh jhuTe hain
parde ke pichhe koi un ko samjhata rahta hai
basti mein jab chaak-gareban girya karte phirte hain
is mausam mein ek rafu-gar hansta gata rahta hai
har kirdar ke pichhe pichhe chal deta hai qissa-go
yunhi baiThe baiThe apna kaam baDhata rahta hai
is din bhi jab basti mein talwaren kam paD jati hain
ek mudabbir aahan-gar zanjir banata rahta hai
aawazon ki bhiD mein ek KHamosh musafir dhire se
na-manus dhunon mein koi saz bajata rahta hai
dekhne wali aankhen hain aur dekh nahin patin kuchh bhi
is manzar mein jaane kya kuchh aata jata rahta hai
is dariya ki tah mein 'adil' ek purani kashti hai
ek girdab musalsal us ka bojh baDhata rahta hai
(1248) Peoples Rate This