Shukr Kiya Hai In PeDon Ne Sabr Ki Aadat Dali Hai
shukr kiya hai in peDon ne sabr ki aadat Dali hai
is manzar se dekho barish hone wali hai
socha ye tha waqt mila to TuTi chizen joDenge
ab kone mein Dher laga hai baqi kamra KHali hai
baiThe baiThe phenk diya hai aatish-dan mein kya kya kuchh
mausam itna sard nahin tha jitni aag jala li hai
apni marzi se sab chizen ghumti phirti rahti hain
be-tartibi ne is ghar mein itni jagah bana li hai
der se qufl paDa darwaza ek diwar hi lagta tha
us par ek khule darwaze ki taswir laga li hai
har hasrat par ek girah si paD jati thi sine mein
rafta rafta sab ne mil kar dil si shakl bana li hai
upar sab kuchh jal jaega kaun madad ko aaega
jis manzil par aag lagi hai sab se niche wali hai
ek kamra sayon se bhara hai ek kamra aawazon se
aangan mein kuchh KHwab paDe hain waise ye ghar KHali hai
pairon ko to dasht bhi kam hai sar ko dasht-nawardi bhi
'adil' hum se chadar jitni phail saki phaila li hai
(3176) Peoples Rate This