Shab Mein Din Ka Bojh UThaya Din Mein Shab-bedari Ki
shab mein din ka bojh uThaya din mein shab-bedari ki
dil par dil ki zarb lagai ek mohabbat jari ki
kashti ko kashti kah dena mumkin tha aasan na tha
dariyaon ki KHak uDai mallahon se yari ki
koi had koi andaza kab tak karte jaana hai
KHandaq se KHamoshi gahri us se gahri tariki
ek taswir mukammal kar ke un aankhon se Darta hun
faslen pak jaane par jaise dahshat ek chingari ki
hum insaf nahin kar pae duniya se bhi dil se bhi
teri jaanib muD kar dekha yani jaanib-dari ki
KHwab adhure rah jate hain nind mukammal hone se
aadhe jage aadhe soe ghaflat bhar hushyari ki
jitna in se bhag raha hun utna pichhe aati hain
ek sada jarob-kashi ki ek aawaz bhikari ki
apne aap ko gali de kar ghur raha hun tale ko
almari mein bhul gaya hun phir chabi almari ki
ghaTte baDhte sae se 'adil' lutf uThaya sara din
aangan ki diwar pe baiThe hum ne KHub sawari ki
(1597) Peoples Rate This