PeDon Se Baat-chit Zara Kar Rahe Hain Hum

peDon se baat-chit zara kar rahe hain hum

nadida doston ka pata kar rahe hain hum

dil se guzar raha hai koi matami julus

aur is ke raste ko khula kar rahe hain hum

ek aise shahr mein hain jahan kuchh nahin bacha

lekin ek aise shahr mein kya kar rahe hain hum

palken jhapak jhapak ke uDate hain nind ko

soe huon ka qarz ada kar rahe hain hum

kab se khaDe hue hain kisi ghar ke samne

kab se ek aur ghar ka pata kar rahe hain hum

ab tak koi bhi tir taraazu nahin hua

tabdil apne dil ki jagah kar rahe hain hum

hathon ke irtiash mein baad-e-murad hai

chalti hain kashtiyan ki dua kar rahe hain hum

wapas palaT rahe hain azal ki talash mein

mansuKH aap apna likha kar rahe hain hum

'adil' saje hue hain sabhi KHwab KHwan par

aur intizar-e-KHalq-e-KHuda kar rahe hain hum

(1342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PeDon Se Baat-chit Zara Kar Rahe Hain Hum In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. PeDon Se Baat-chit Zara Kar Rahe Hain Hum is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem PeDon Se Baat-chit Zara Kar Rahe Hain Hum for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download PeDon Se Baat-chit Zara Kar Rahe Hain Hum in PDF.