Nikla Hun Shahr-e-KHwab Se Aise Ajib Haal Mein
nikla hun shahr-e-KHwab se aise ajib haal mein
gharb mere junub mein sharq mere shumal mein
koi kahin se aae aur mujh se kahe ki zindagi
teri talash mein hai dost baiTha hai kis KHayal mein
DhunDte phir rahe hain sab meri jagah mera sabab
koi hazar mil mein koi hazar sal mein
lafzon ke iKHtisar se kam to hui saza meri
pahle kahaniyon mein tha ab hun main ek misal mein
mez pe roz subh-dam taza gulab dekh kar
lagta nahin ki ho koi mujh sa mere ayal mein
phul kahan se aae the aur kahan chale gae
waqt na tha ki dekhta paudon ki dekh-bhaal main
kamron mein bistaraon ke bich koi jagah nahin bachi
KHwab hi KHwab hain yahan aaankhon ke haspatal mein
gurg-o-samand o mush-o-sag chhanT ke ek ek rag
phirte hain sab alag alag rahte hain ek khaal mein
(1458) Peoples Rate This