Main Jahan Tha Wahin Rah Gaya Mazarat
main jahan tha wahin rah gaya mazarat
ai zamin mazarat ai KHuda mazarat
kuchh batate hue kuchh chhupate hue
main hansa mazarat ro diya mazarat
KHud tumhaari jagah ja ke dekha hai aur
KHud se ki hai tumhaari jagah mazarat
jo hua jaane kaise hua kya KHabar
jo kiya wo nahin ho saka mazarat
main ki KHud ko bachane ki koshish mein tha
ek din main ne KHud se kaha mazarat
mujh se girya mukammal nahin ho saka
main ne diwar par likh diya mazarat
main bahut dur hun sham nazdik hai
sham ko do sada shukriya mazarat
(1699) Peoples Rate This