Kuchh KHak Se Hai Kaam Kuchh Is KHak-dan Se Hai
kuchh KHak se hai kaam kuchh is KHak-dan se hai
jaana hai dur aur guzarna yahan se hai
dil apni raegani se zinda hai ab talak
aabaad ye jahan bhi ghubar-e-jahan se hai
bas KHak paD gai hai badan par zamin ki
warna mushabahat to meri aasman se hai
dil bhi yahi hai waqt bhi manzar bhi nind bhi
jaana kahan hai KHwab mein jaana kahan se hai
ek dastan qadim hai ek dastan daraaz
hai sham jis ka nam wo kis dastan se hai
wabasta mez-posh ke phulon ki zindagi
mehman se hai mez se hai mezban se hai
(1227) Peoples Rate This