Kabhi KHushbu Kabhi Aawaz Ban Jaana PaDega

kabhi KHushbu kabhi aawaz ban jaana paDega

parindon ko kisi bhi shakl mein aana paDega

KHud apne samne aate hue hairan hain hum

hamein ab is gali se ghum kar jaana paDega

use ye ghar samajhne lag gae hain rafta rafta

parindon se qafas aamada karwana paDega

udasi wazn rakhti hai jagah bhi gherti hai

hamein kamre ko KHali chhoD kar jaana paDega

main pichhle bench par sahma Dara baiTha hua hun

samajh mein kya nahin aaya ye samjhana paDega

yahan daman pe naqsha ban gaya hai aansuon se

kisi ki justuju mein dur tak jaana paDega

taaruf ke liye chehra kahan se laenge hum

agar chehra bhi ho to nam batlana paDega

kahin sanduq hi tabut ban jae na ek din

hifazat se rakhi chizon ko phailana paDega

KHuda-hafiz buland aawaz mein kahna paDega

phir us aawaz se aage nikal jaana paDega

jahan peshen-goi KHatm ho jaegi aaKHir

abhi is rah mein ek aur virana paDega

ye jangal bagh hai 'adil' ye daldal aab-e-ju hai

kahin kuchh hai jise tartib mein lana paDega

(1549) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi KHushbu Kabhi Aawaz Ban Jaana PaDega In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. Kabhi KHushbu Kabhi Aawaz Ban Jaana PaDega is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem Kabhi KHushbu Kabhi Aawaz Ban Jaana PaDega for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download Kabhi KHushbu Kabhi Aawaz Ban Jaana PaDega in PDF.