Jaane Hum Ye Kin Galiyon Mein KHak UDa Kar Aa Jate Hain
jaane hum ye kin galiyon mein KHak uDa kar aa jate hain
ishq to wo hai jis mein na-maujud mayassar aa jate hain
jaane kya baaten karti hain din bhar aapas mein diwaren
darwaze par qufl laga kar hum to daftar aa jate hain
kaam mukammal karne se bhi sham mukammal kab hoti hai
ek parinda rah jata hai baqi sab ghar aa jate hain
apne dil mein gend chhupa kar un mein shamil ho jata hun
DhunDte DhunDte sare bachche mere andar aa jate hain
mim mohabbat paDhte paDhte likhte likhte kaf kahani
baiThe baiThe is maktab mein KHak barabar aa jate hain
roz nikal jate hain KHali ghar se KHali dil ko le kar
aur apni KHali turbat par phul saja kar aa jate hain
KHak mein ungli pherte rahna naqsh banana wahshat likhna
in waqton ke chand nishan ab bhi kuzon par aa jate hain
nam kisi ka raTte raTte ek girah si paD jati hai
jin ka koi nam nahin wo log zaban par aa jate hain
phir bistar se uThne ki bhi mohlat kab milti hai 'adil'
nind mein aati hain aawazen KHwab mein lashkar aa jate hain
(1345) Peoples Rate This