Hum Jaana Chahte The Jidhar Bhi Nahin Gae

hum jaana chahte the jidhar bhi nahin gae

aur intiha to ye hai ki ghar bhi nahin gae

wo KHwab jaane kaise KHarabe mein gum hue

is par bhi nahin hain idhar bhi nahin gae

sahib tumhein KHabar hi kahan thi ki hum bhi hain

waise to ab bhi hain koi mar bhi nahin gae

barish hui to hai magar itni ki ye zaruf

KHali nahin rahe hain to bhar bhi nahin gae

'adil' zamin-e-dil se zamane KHayal ke

guzre kuchh is tarah ki guzar bhi nahin gae

(1284) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Jaana Chahte The Jidhar Bhi Nahin Gae In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. Hum Jaana Chahte The Jidhar Bhi Nahin Gae is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem Hum Jaana Chahte The Jidhar Bhi Nahin Gae for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download Hum Jaana Chahte The Jidhar Bhi Nahin Gae in PDF.