Hamein Yunhi Na Sar-e-ab-o-gil Banaya Jae

hamein yunhi na sar-e-ab-o-gil banaya jae

hamare KHwab diye jaen dil banaya jae

dikhai deta hai taswir-e-jaan mein donon taraf

hamara zaKHm zara mundamil banaya jae

agar jalaya gaya hai kahin diye se diya

to kya ajab ki kabhi dil se dil banaya jae

shadid-tar hai tasalsul mein hijr ka mausam

kabhi milo ki use mo'tadil banaya jae

ye naqsh ban nahin sakta to kya zaruri hai

KHarab-o-KHasta o KHwar-o-KHajil banaya jae

(1112) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Yunhi Na Sar-e-ab-o-gil Banaya Jae In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. Hamein Yunhi Na Sar-e-ab-o-gil Banaya Jae is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem Hamein Yunhi Na Sar-e-ab-o-gil Banaya Jae for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download Hamein Yunhi Na Sar-e-ab-o-gil Banaya Jae in PDF.