Ek Nafas Nabud Se Bahar Zara Rahta Hun Main

ek nafas nabud se bahar zara rahta hun main

gum-shuda chizon ke andar lapata rahta hun main

jitni baaten yaad aati hain wo likh leta hun sab

aur phir ek ek kar ke bhulta rahta hun main

garm-joshi ne mujhe jhulsa diya tha ek din

andarun ke sard-KHane mein paDa rahta hun main

KHarch kar deta hun sab maujud apne hath se

aur na-maujud ki dhan mein laga rahta hun main

jitni gahrai hai 'adil' utni hi tanhai hai

bas ki sath-e-zindagi par tairta rahta hun main

(1103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nafas Nabud Se Bahar Zara Rahta Hun Main In English By Famous Poet Zulfiqar Aadil. Ek Nafas Nabud Se Bahar Zara Rahta Hun Main is written by Zulfiqar Aadil. Read famous Poem Ek Nafas Nabud Se Bahar Zara Rahta Hun Main for youth and Student by Zulfiqar Aadil. Free Download Ek Nafas Nabud Se Bahar Zara Rahta Hun Main in PDF.