BaDi Mushkil Kahani Thi Magar Anjam Sada Hai
baDi mushkil kahani thi magar anjam sada hai
ki ab us shaKHs ka hum se bichhaDne ka irada hai
aur is ke baad ek aise hi lamhe tak hai KHamoshi
hamein dar-pesh phir se lamha-e-tajdid-e-wada hai
suno raste mein ek jalta hua sahra bhi aaega
kaho kab tak hamare sath chalne ka irada hai
hamein aasaniyon se pyar tha aur log kahte the
agar manzil se haT jaen to har rasta kushada hai
sitara-dar-sitara TuTta hai aasman to bhi
tere qisse mein bhi meri kahani ka iada hai
main hun na-mo'tabar manzil ki KHatir mo'tabar rah par
wajud-e-KHwahish-e-jaan par duaon ka libaada hai
kuchh aisi shiddaton se hum guzar kar aae hain 'adil'
hamein teri zarurat bhi zarurat se ziyaada hai
(1576) Peoples Rate This