Phir Sar-e-dar-e-wafa Rasm Ye Dali Jae
phir sar-e-dar-e-wafa rasm ye Dali jae
gul ho ek shama to ek aur jala li jae
dur karni ho jo tariki-e-rah-e-iKHlas
mashal-ashk-e-nadamat hi jala li jae
aaina main ne sar-e-rahguzar rakha hai
taki ahbab ki kuchh KHam-KHayali jae
haal ye tark-e-talluq pe hua karta hai
jaise machhli koi pani se nikali jae
tu ise apni tamannaon mein shamil kar le
hum se to teri tamanna na sambhaali jae
aap ke uThne pe mahfil ka ye aalam paya
jaise hanste hue chehron se bahaali jae
KHastagi dekhi hai 'jawed' fasil-e-dil ki
is pe buniyaad shab-e-gham ki na Dali jae
(1259) Peoples Rate This