Kabhi Jabr-o-sitam Ke Ru-ba-ru Sar KHam Nahin Hota
kabhi jabr-o-sitam ke ru-ba-ru sar KHam nahin hota
mera jazb-e-sadaqat ghair-mustahkam nahin hota
saron ki fasl kaTne ka ye mausam to nahin lekin
saron ki fasl kaTne ka koi mausam nahin hota
jinhen aata ho fan auron ke gham apnae jaane ka
unhen ta-zindagi duniya mein koi gham nahin hota
hamare daur mein ab nafsa-nafsi ka ye aalam hai
janaze roz uThte hain magar matam nahin hota
zaban ke taziyane se kaleje par jo lagta hai
wo aisa zaKHm hai jis ka koi marham nahin hota
mili aslaf se 'jawed' mujh ko sidq ki daulat
suluk-e-narawa se bhi ye jazba kam nahin hota
(1352) Peoples Rate This