Kaam Hain Aur Zaruri Kai Karne Ke Liye
kaam hain aur zaruri kai karne ke liye
kaun baiTha hai tere ishq mein marne ke liye
raat guzre hue KHwabon ki rida oDhe thi
subah-e-tabir ke chilman pe bikharne ke liye
istada the sitare teri dahliz ke sath
chand be-chain tha aangan mein utarne ke liye
dast-e-fan-kar ki fankari ka aalam ye ho
naqsh be-chain ho patthar pe ubharne ke liye
koi manzil to mile aabla-pai ke tufail
koi surat to bane chehra sanwarne ke liye
is hujum-e-kas-o-na-kas ko bhi jaana hai kahin
rasta dijiye is ko bhi guzarne ke liye
(1382) Peoples Rate This