Ro Lete The Hans Lete The Bas Mein Na Tha Jab Apna Ji

ro lete the hans lete the bas mein na tha jab apna ji

tum ne hamein diwana kiya hai aisi to koi baat na thi

ab ye tumhaara kaam ki jaano hum parwane the ya dip

din bita to jalte jalte jalte jalte raat kaTi

gulshan gulshan mahfil mahfil ek hi qissa ek hi baat

zalim duniya jabir duniya jaane ye kab badlegi

lapke kitne hath na jaane un ke sajile daman par

kal tak the hum chaak-gareban un se puchhe aaj koi

hum hain mashal wale pahle hum se do do hath karo

phir bikhra lena andhiyara nagar nagar basti basti

tum ho aag to hum pani hain tum ho dhup to hum chhanw

apna tumhaara sath hi kya hum parja tum raja ji

gali gali mein KHun ke dhabbe Dagar Dagar pe rakh ke Dher

jashn manane wale yaro ek 'nazar' is jaanib bhi

(1200) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ro Lete The Hans Lete The Bas Mein Na Tha Jab Apna Ji In English By Famous Poet Zuhoor Nazar. Ro Lete The Hans Lete The Bas Mein Na Tha Jab Apna Ji is written by Zuhoor Nazar. Read famous Poem Ro Lete The Hans Lete The Bas Mein Na Tha Jab Apna Ji for youth and Student by Zuhoor Nazar. Free Download Ro Lete The Hans Lete The Bas Mein Na Tha Jab Apna Ji in PDF.