Qahat-e-wafa-e-ahd-o-paiman Hai In Dinon
qahat-e-wafa-e-ahd-o-paiman hai in dinon
zoron pe ehtiyat-e-dil-o-jaan hai in dinon
malun hain jo mausam-e-gul ke junun mein hain
matruk rasm-e-chaak-gareban hai in dinon
ye rasm-e-raftagan thi faramosh ho gai
apne kiye pe kaun pasheman hai in dinon
aankhen hain KHushk surat-e-sahra-e-be-giyah
sina hujum-e-ashk se giryan hai in dinon
ye kaisa ohda hai ki meri chashm-e-KHwab mein
naqsh-e-qadam bhi dida-e-jabran hai in dinon
Darta hun apne sans ki sunta hun jab sada
dahshat bahut qarib-e-rag-e-jaan hai in dinon
dida-daron ke ghar pe musallat hai tirgi
andhon ki anjuman mein charaghan hai in dinon
bad-tar hai jaanwar se bhi danishwaron ka haal
jo sochta nahin hai wo insan hai in dinon
har bul-hawas dhani hai muqaddar ka aaj-kal
har be-zamir sahab-e-imkan hai in dinon
tujh se gila nahin hai ki tu phir bhi ghair tha
mera wajud mujh se gurezan hai in dinon
ji chahta hai ru-e-zamin par bikher dun
jo dard meri ruh mein pinhan hai in dinon
kaise chhuDaun kaise likhun sharh-e-dard-e-nau
har ek lafz zinat-e-zindan hai in dinon
yaadon ke phul hadd-e-nazar tak khile hain phir
dasht-e-firaq rashk-e-gulistan hai in dinon
(1547) Peoples Rate This