KHud Ko Pane Ki Talab Mein Aarzu Uski Bhi Thi
KHud ko pane ki talab mein aarzu us ki bhi thi
main jo mil jata to us mein aabru us ki bhi thi
zindagi ek dusre ko DhunDne mein kaT gai
justuju meri bhi dushman thi adu us ki bhi thi
meri baaton mein bhi talKHi thi sam-e-tanhai ki
zahr-e-tanhai mein Dubi guftugu us ki bhi thi
wo gaya to karwaTen le le ke pahlu thak gae
kis tarah sota mere sanson mein bu us ki bhi thi
raat bhar aankhon mein us ka marmarin paikar raha
chandni ke jhilmilane mein numu us ki bhi thi
ghar se us ka bhi nikalna ho gaya aaKHir muhaal
meri ruswai se shohrat ku-ba-ku us ki bhi thi
main hua KHaif to us ke bhi uDe hosh-o-hawas
meri jo surat hui wo hu-ba-hu us ki bhi thi
kuchh mujhe bhi sidhe-sadhe raston se bair hai
kuchh bhaTak jaane ke bais justuju us ki bhi thi
wo jise sare zamane ne kaha mera raqib
main ne us ko ham-safar jaana ki tu us ki bhi thi
dasht-e-furqat ka safar bhi aaKHirash tai ho gaya
aur kuchh din sath deta aarzu us ki bhi thi
baat baDhne ko to baDh jati bahut lekin 'nazar'
main bhi kuchh kam-go tha chup rahne ki KHu us ki bhi thi
(1574) Peoples Rate This