Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_89214c23117a1f035f25a6cc25e14158, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ishq Mein Marke Bala Ke Rahe - Zuhoor Nazar Poetry In English - Darsaal

Ishq Mein Marke Bala Ke Rahe

ishq mein marke bala ke rahe

aaKHirash hum shikast kha ke rahe

ye alag baat hai ki haare hum

hashr ek bar to uTha ke rahe

safar-e-gham ki baat jab bhi chali

tazkire tere naqsh-e-pa ke rahe

jab bhi aai koi KHushi ki ghaDi

din ghamon ke bhi yaad aa ke rahe

jis mein sara hi shahr dafn hua

faisle sab aTal hawa ke rahe

apni surat bigaD gai lekin

hum unhen aaina dikha ke rahe

honT tak si diye the phir bhi 'nazar'

zulm ki dastan suna ke rahe

(1592) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein Marke Bala Ke Rahe In English By Famous Poet Zuhoor Nazar. Ishq Mein Marke Bala Ke Rahe is written by Zuhoor Nazar. Read famous Poem Ishq Mein Marke Bala Ke Rahe for youth and Student by Zuhoor Nazar. Free Download Ishq Mein Marke Bala Ke Rahe in PDF.