Har GhaDi Qayamat Thi Ye Na Puchh Kab Guzri
har ghaDi qayamat thi ye na puchh kab guzri
bas yahi ghanimat hai tere baad shab guzri
kunj-e-gham mein ek gul bhi likh nahin saka pura
is bala ki tezi se sarsar-e-tarab guzri
tere gham ki KHushbu se jism o jaan mahak uTThe
sans ki hawa jab bhi chhu ke mere lab guzri
ek sath rah kar bhi dur hi rahe hum tum
dhup aur chhanw ki dosti ajab guzri
jaane kya hua hum ko ab ke fasl-e-gul mein bhi
barg-e-dil nahin larza teri yaad jab guzri
be-qarar be-kal hai jaan sukun ke sahra mein
aaj tak na dekhi thi ye ghaDi jo ab guzri
baad-e-tark-e-ulfat bhi yun to hum jiye lekin
waqt be-tarah bita umr be-sabab guzri
kis tarah tarashoge tohmat-e-hawas hum par
zindagi hamari to sari be-talab guzri
(2122) Peoples Rate This