Jine Ki Hai Umid Na Marne Ki Aas Hai
jine ki hai umid na marne ki aas hai
jis shaKHs ko bhi dekhiye taswir-e-yas hai
jab se masarraton ki hui justuju mujhe
main bhi udas hun mera dil bhi udas hai
lashon ka ek Dher hai ghere hue mujhe
aabaad ek shahr mere aas-pas hai
mujh se chhupa sakegi na apne badan ka koDh
duniya meri nigah mein yun be-libas hai
yaran-e-mai-kada mera anjam dekhna
tanha hun aur samne KHali gilas hai
ab tark-e-arzu ke siwa kya karen 'zuhair'
is dasht-e-arzu ki faza kis ko ras hai
(1340) Peoples Rate This