Tez Ho Jaen Hawaen To Bagula Ho Jaun
tez ho jaen hawaen to bagula ho jaun
ghumte ghumte ham-raqba-e-sahra ho jaun
KHud-kalami meri aadat nahin majburi hai
yun na masruf rahun main to akela ho jaun
dusra panw uThane ki zarurat na paDe
aur main fateh-e-nahid-o-surayya ho jaun
band aankhon se na kar mashq-e-tasawwur din-raat
ki hamesha ke liye jaan main tera ho jaun
ye teri gul-badani ye teri kam-pairahani
sair-chashmi se kahin aur na pyasa ho jaun
ek sira hai magar aata nahin hathon mein 'zubair'
jis bahane se main be-gana-e-duniya ho jaun
(1803) Peoples Rate This