Tilsmati Faza TaKHt-e-sulaiman Par Liye Jaana
tilsmati faza taKHt-e-sulaiman par liye jaana
mere ghar mein utarti sham ka manzar liye jaana
wo asbab-e-shikast-o-fatah KHud hi jaan jaega
alam jab hath se chhuTe to mera sar liye jaana
garaj ke sath bijli bhi chamakti hai pahaDon mein
musafir hai ki tufani hawa ko ghar liye jaana
khule jate hain jaise dil ke sare band darwaze
ab un qadmon ki aahaT kya samaat par liye jaana
wahan sunte nahin hain dekhte hain zaKHm-e-peshani
agar jaana to aaina pas-e-jauhar liye jaana
gali ki KHak muTThi mein liye hain chahne wale
'zubair' is kimiya ko tum bhi chuTki-bhar liye jaana
(1282) Peoples Rate This