Qamar-gazida Nazar Se Haala Kahan Se Aaya
qamar-gazida nazar se haala kahan se aaya
charagh bujhne ke baad ujala kahan se aaya
nadi mein wo aur chand hain ek sath raushan
zamin par aasman wala kahan se aaya
ye ghuncha ghuncha siyah bhanwre ki bosa-KHwahi
sawad-e-gulshan mein ham-niwala kahan se aaya
faza ki aaludgi thi pahle hi nim qatil
ye dil mein ek aur dagh kala kahan se aaya
qarib-tar doston se hone ki aarzu mein
abhi abhi pusht par ye bhaala kahan se aaya
main KHwab mein bhi teri gali se nahin guzarta
ye donon talwon mein surKH chhaala kahan se aaya
kahan gaya sikka sikka qarun ka KHazana
'zubair' hathon mein ye piyala kahan se aaya
(1323) Peoples Rate This