Jabin Se NaKHun-e-pa Tak Dikhai Kyun Nahin Deta
jabin se naKHun-e-pa tak dikhai kyun nahin deta
wo aaina hai to apni safai kyun nahin deta
dikhai de rahe hain samne walon ke hilte lab
magar wo kah rahe hain kya sunai kyun nahin deta
samundar bhi teri aankhon mein sahra ki tarah gum hai
yahan wo tangi-e-ja ki duhai kyun nahin deta
jab us ne toD di zanjir diwaren gira di hain
asiri ke tasawwur se rihai kyun nahin deta
wo KHud se baKHsh deta hai jahan-e-ab-o-gil mujh ko
talab ke bawajud aaKHir gadai kyun nahin deta
ab aankhon se nahin hathon se chhuna chahta hun
mujhe wo wasl-ameza judai kyun nahin deta
'zubair' ek bar ungli bhi nahin chhune ko milti hai
wo apne hasht-pahlu mein rasai kyun nahin deta
(1374) Peoples Rate This