Safa Aur Sidq Ke BeTe
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
sawad-e-sharq ka ek shahr
tariki mein Duba tha
achanak shor sa uTTha
zamin jaise taDaKH jae
nadi mein baDh aa jae
koi koh-e-giran jaise jagah se apni haT jae
baDa kohram tha
KHilqat
mata-o-mal se mahrum nange sar
gharon se chiKH kar nikli
magar aal-e-safa-o-sidq ke KHeme nahin ukhDe
wo apni KHwab-gahon se nahin nikle
riwayat hai
safa-o-sidq ke beTe
hamesha raat aate hi
hisar-e-hamd
apne chaar jaanib khinch lete the
muqaddas aayaton ko apne pe dam kar ke sote the
riwayat hai
balaen un ke darwazon se
wapas lauT jati thin
sawad-e-sharq ka wo shahr
us shab Dher tha lekin
safa-o-sidq ki aulad ke KHeme nahin ukhDe
(988) Peoples Rate This