Parinde LauT Aae
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
hua ek bar yun
basti ke baghon mein
kisi bhi peD ki Tahni pe koi phal nahin aaya
hare patton ka mausam lauT kar wapas nahin aaya
parinde ro diye
aur dur ke baghon mein hijrat kar gae sare
bahut aazurda ho kar baghbanon ne
duaen kin
munajaten paDhin
apne gunahon ki
KHuda-e-lam-yazal se maafiyan mangin
aur kyariyan kaTin
hare patton ka mausam lauT kar wapas nahin aaya
parinde lauT aae the
nai basti ke baghon se
hare patton ki Tahni toD lae the
(1191) Peoples Rate This