Naya Janm
ajnabi jaan ke ek shaKHs ne yun mujh se kaha
wo makan nim ka wo peD khaDa hai jis mein
khiDkiyan jis ki kai sal se lab-basta hain
jis ke darwaze ki zanjir ko hasrat hi rahi
koi aae to wo hathon mein machal ke rah jae
shor-e-be-rabti-e-ahang mein Dhal ke rah jae
wo makan jis ke dar-o-baam kai salon se
muntazir hain, koi mahtab-sifat shahzada
un ka har gosha-e-tarik munawwar kar de
log kahte hain yahan raat ke sannaTe mein
kuchh ajab tarah ki aawazen hua karti hain
chuDiyan paelen pazeben baja karti hain
ek aawaz ki tum ne to mujhe chaha tha
ek aawaz ki tum ahd-e-wafa bhul gae
ek siski ki mera saghar-e-jam TuT gaya
ek nala ki mera mujh se sanam chhuT gaya
log kahte hain kai sal hue is ghar mein
KHub-surat sa koi shaKHs raha karta tha
chandni raaton mein ashaar kaha karta tha
KHub-ruwon ne use jaan-e-wafa jaana tha
jaane kis kis ne use apna KHuda mana tha
log kahte hain ki ek raat ke sannaTe mein
ek pari aai idhar taKHt-e-sulaimani par
jaane kis des uDa le gai shahzade ko
ajnabi jaan ke us shaKHs ne yun mujh se kaha
main magar soch raha tha ki koi pahchan na le
(1381) Peoples Rate This