Musalahat
main bhi na puchhun tum bhi na puchho
mere mazi ki peshani
kitne buton ko puj chuki hai
kitne sajdon ki tabani
chaukhaT chaukhaT banT chuki hai
mere mazi ke taqon mein
kitni shamen pighal chuki hain
kitne daman KHak hue hain
tum bhi na puchho main bhi na puchhun
tum ne ye shadab jawani
kaise aur kis tarah guzari
in aankhon ke paimanon mein
kitne aks utare tum ne
kitne KHwab sajae tum ne
shahar ke kitne diwanon se
qaul-o-qasam iqrar kiye hain
kitne gareban chaak hue hain
tum bhi na puchho main bhi na puchhun
wo dekho wo kal hai hamara
chhoTa sa ghar saja-sajaya
hum tum baiThe ek kamre mein
tash ki bazi khel rahe hain
(1107) Peoples Rate This