Kutton Ka Nauha
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
bani-quddus ke beTon ka
ye dastur tha
wo apni shamshiren
niyamon mein na rakhte the
musallah ho ke sote the
aur un ke KHub-ru gabru
kase tiron ki surat
raat-bhar
mishal-ba-kaf
KHemon ke bahar jagte rahte
bani-quddus ke beTe
balaon aur azabon ko
hamesha laghzish-e-pa ka sila ginte
gunahon se hazar karte
magar ek din
ki wo manhus saat thi KHarabi ki
zanan-e-nim-uryan dekh kar KHana-ba-doshon ki
kuchh aise mar-miTe
jab raat aai to
bani-quddus ke beTon ki shamshiren
niyamon mein paDi thin
aur diwaron pe laTki thin
wo pahli raat thi
KHemon ke bahar ghup-andhera tha
faza mein dur tak
kutton ki aawazon ka nauha tha
(1009) Peoples Rate This