Hum Kahan Aa Gae
hum kahan aa gae
sare be-samt hain
qafile karwan sarban
ek sailab-e-adam rawan chaar su
ek tag-o-taz-e-kar-e-jahan
aasman se pare sair-e-sayyargan
aur zamin-doz pahnaiyon mein
nigahon ki hairaniyan
ab kahin bhi nahin
matam-e-marg-e-be-chaargan
har adalat mein insaf ki arziyan
baatilon ki tarafdariyan
phir uTha le gae banu-e-be-rida
sare chup-chap hain
koi pursan nahin
girya-e-tifl-e-be-chaargan
koi sunta nahin
KHwab bimar aankhon mein marte hue
KHud-kushi chaar-su bain karti hui
ye meri arz-e-jannat-nishan
jo pukari gai
qibla-e-arfan mabad-e-nuriyan
kucha-e-dilbaran basti-e-ashiqan
maqtal-e-harf-o-saut-o-sada ban gai
ab lahu-rang hain sare tishna-laban
sadiq-o-sadiqa
naz-bardar-e-ashuftagan
(1147) Peoples Rate This