Be-karan
tumhein pasand hai har shab tumhaare bistar par
lipaT ke tum se hasin narm chandni soe
nigar-KHana-e-fitrat ki dilkashi soe
magar pasand ko rang-e-junun na dena tha
gagan se chand ko dharti pe kyun bulati ho
nazar se pyar karo hath kyun lagati ho
musafiran-e-shab-e-gham ki dil-dahi ke liye
tamam umr use nur ban ke Dhalna hai
udas raaton mein qindil ban ke jalna hai
yahi bahut hai ki har shab tumhaare bistar par
lipaT ke tum se hasin narm chandni soe
gagan se chand na mango gagan pe rahne do
nazar se dur safina bahe to bahne do
(1003) Peoples Rate This