Anjam Qissa-go Ka
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
wo shab wade ki shab thi
ganw ki chaupal puri bhar chuki thi
taza huqqe har taraf rakkhe hue the
qissa-go ne ek shab pahle kaha tha
sahibo tum apni ninden bistaraon par chhoD kar aana
main kal ki shab tumhein apne salaf ka aaKHiri qissa sunaunga
jigar ko tham kar kal raat tum chaupal par aana
wo shab wade ki shab thi
ganw ki chaupal puri bhar chuki thi
raat gahri ho chali thi
huqqe ThanDe ho gae the lalTenen bujh gai thin
ganw ke sab mard qissa-go ki rah takte thak gae the
dur tariki mein gidaD aur kutte mil ke nauha kar rahe the
dafatan bijli si kaundi
raushni mein sab ne dekha
qissa-go bargad tale behis paDa tha
us ki aankhen aaKHiri qissa sunane ki taDap mein jagti thin
par zaban us ki kaTi thi
raat wo bas aaKHiri thi
qissa-go ka an-kaha apne salaf ka
aaKHiri qissa labon par kanpta tha
(1022) Peoples Rate This