Amir-e-shahr Ki Neki
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
amir-e-shahr raaton ko
badal kar bhes
galiyon mein phira karta
wo diwaron pe likkhi
har nai tahrir ko paDhta
sarae mein har ek nau-warid-e-shab se
safar ka majra sunta
gharon ki chimniyon ko dekh kar
andaza-e-nan-e-jawin karta
pareshan-haaliyon se ba-KHabar rahta
mazaron maqbaron ki chaukhaTon ko chumta
aur shab gae masjid mein aata
subh tak
yaad-e-ilahi mein basar karta
hua ek raat yun
chaaron taraf dariya umaD aaya
koi jaga nahin
tanha
amir-e-shahr ke bazu
fasil-e-shahr ki buniyaad ko thame rahe shab bhar
badan ki Dhaal se
sailab ko roke rahe shab bhar
suna hai phir kabhi
dariya ki tughyani
fasil-e-shahr ko Dhane nahin aai
amir-e-shahr ki neki
zamane tak
KHata-karon ke kaam aai
(1058) Peoples Rate This