Tilism-e-harf-o-hikayat Use Bhi Le Duba
tilism-e-harf-o-hikayat use bhi le Duba
zaban se us ki har ek baat ek fasana lage
wo jis ko dur se dekha tha ajnabi ki tarah
kuchh is ada se mila hai ki dostana lage
idhar udhar se muqabil ko yun na ghail kar
wo sang phenk ki be-saKHta nishana lage
ye lamha lamha takalluf ke TuTte rishte
na itne pas mere aa ki tu purana lage
wo ek shaKHs jo leTa hai reg-e-sahil par
use na mauja-e-tufan ka taziyana lage
(1168) Peoples Rate This