Shafaq-sifat Jo Paikar Dikhai Deta Hai
shafaq-sifat jo paikar dikhai deta hai
har ek nigah ka mahwar dikhai deta hai
udhar khuli koi khiDki na koi darwaza
jahan se aag ka manzar dikhai deta hai
chalo ki nili fazaon mein baadban kholen
safar-nawaz samundar dikhai deta hai
kaTe to kaise ye andhi rifaqaton ka safar
na koi chehra na manzar dikhai deta hai
nazar na aae to sau wahm dil mein aate hain
wo ek shaKHs jo aksar dikhai deta hai
paDe hain band sabhi zine un chhaton ke 'zubair'
jahan jahan se tera ghar dikhai deta hai
(1253) Peoples Rate This